Janakpur Dham Janaki Mandir – Nepal ka Yeh Pavitra Tirth Sthal | जनकपुर धाम – जानकी मंदिर
Janakpur Dham — naam sunte hi dil mein ek pavitra bhav jag uthta hai. Yeh Nepal ka woh anmol dharm hai, jahan dharm, itihaas aur sanskriti ek saath milte hain. Janaki Mandir yahan ka sabse pramukh aakarshan hai, lekin Janakpur sirf ek mandir nahi… yeh to Maa Sita ki janm-bhoomi hai, aur Ramayan ki woh pavitra bhumi jahan Shree Ram aur Mata Sita ka vivah hua tha.
Janakpur Airport se Janaki Mandir: Kitni Durī? Kitna Time?
Janakpur Airport — yahaan utarte hi aapko lagta hai ki mandir kareeb hi hai. Aur sachmuch hai bhi! Airport se Janaki Mandir lagbhag 3 km door hai, jo ki ekdam local experience deta hai.
Taxi/Car se: Bas 8-10 minute ka safar.
Paidal chalen to: Bazaar dekhate huye 40-45 minute lag sakte hain, par yeh rasta aapko Janakpur ki local life se jod deta hai.
Raasta Girja Path ke naam se jaana jaata hai — yeh sadak aapko seedha mandir tak le jaati hai, raste mein chai ki dukaan, road ke kinare kirana shop, misthan bhandar , thele waale, sabji ki dukan ,Mithila painting, , aur local logon ki muskurahat aapka swagat karti hai.
Kyu Hai Janaki Mandir Itna Khaas?
Janaki Mandir sirf patthar ka bana bhawal structure nahi hai… yahaan woh pavitra hawa bhi hai jo Sita-Ram ke pawan prem ki kahani sunaati hai. Mandir ka nirman safed rang ke fine stone se kiya gaya hai, jise dekh kar lagta hai jaise kisi ne safed rang mein prem likh diya ho.
Yahaan aane wala har bhakta apne aap ko Ramayan ke us pawan kal mein khada paata hai — jab Raja Janak ne Sita ka swayamvar racha tha.
Janakpur Dham ke Kuch Interesting Facts:
Janakpur, Nepal ke Dhanusha district mein aata hai, par yeh border se itna nazdeek hai ki Indian tourists yahan aasaanī se aa sakte hain.
Yahan 90% Hindu , 10% Muslim hai aur Maithili bhasa bola jata hai yaha ke log Hindi bhi samajhte hai aur bolte bhi hai, isliye communication kabhi issue nahi hota.
Janakpur ko “Mithila Nagari” bhi kehte hain — kyunki yahan ki sanskriti, kapde, khana, art sab Mithila culture ko represent karte hain.
Vivah Panchami yahan ka sabse bada tyohar hai — pure Nepal se log aate hain Sita-Ram ki baraat celebrate karne.
Ram Navami aur Chhath Puja bhi yahan bade bhav se manayi jaati hai.
Janakpur Sirf Mandir Nahi, Ek Poori Sanskriti Hai
Yahan aapko Mithila paintings har jagah dikhengi — ghar ki deewaron se leke local shops tak.
Local khana jaise — Dal-Bhat, Tarkari, puri, jalewi, samosa, panipuri aur bhi bahot
Janaki Mandir, jise Naulakha Mandir bhi kaha jata hai, Nepal ke sabse prasidh aur pavitra Hindu mandiron me se ek hai. Ye mandir Janakpur Dham, Nepal me sthit hai aur Hindu dharm me iska bahut hi vishesh mahatva hai. Janaki Mandir Mata Sita (Mata Janaki) ko samarpit hai, jo Bhagwan Shri Ram ki patni aur Raja Janak ki putri mani jati hain.
Ye mandir sirf Nepal me hi nahi, balki Bharat aur duniya bhar me Hindu bhakton ke beech bahut zyada prasidh hai. Har saal Nepal, Bharat aur anya deshon se laakhon shraddhalu yahan darshan karne aate hain.
Janaki Mandir ka Nirman
Janaki Mandir ka nirman 1898 AD me hua tha. lekin janaki mandir 1894-1910 ke bich me bankar tyaar hua tha lagbhag 16 saal mein tyaar hua tha Janaki mandir janakpurdham nepal.
Is bhavya mandir ka nirman
Maharani Vrishbhanu Kunwar of Tikamgarh (Madhya Pradesh, India) dwara karwaya gaya tha. Maharani Mata Sita ki bahut badi bhakt thi, isliye unhone Mata Janaki ke samman me is mandir ka nirman karwaya.
Janaki Mandir Ka nirman karne mein kita samay laga tha
Janaki mandir
banane mein lagbhag 16 saal lag gaye jabki aaj ke date mein 2026 mein ek aur
ram mandir jo ki bharat ke bihar (Sitamadhi) mein ban ne jarhi hai aur umeed
hai ki ye bhavya mandir ka nirmaan 3 saal mein pura hojayenge.
नाम
जानकी मन्दिर
स्थापना
1998 AD
क्षेत्रफल
1,480 वर्ग मीटर
निर्माण अवधि
13 से 16 साल
निर्माता
महारानी वृषभानु कुमारी II
समर्पित
माता सीता
Ram ji ki shadi kab hui thi
Shree Ram aur Mata Sita ka vivah margsirsha mahine ke sukla paksh ki panchami tithi Vivah Panchami ko hua tha, jise har saal vivah panchami manaya jata hai halaki tetra yug ke anusaar stik barsh gyaat nahi hai par iss din ko shree ram ji ki vivah ki saalgrah manaya jata hai. aur iss din pooja karne se sukh samridhi aati hai aur vivah mein jo bhi badha ata hai wo door hota hai.
Ram ji ki shadi kab hui thi
Shree Ram aur Mata Sita ka vivah margsirsha mahine ke sukla paksh ki panchami tithi Vivah Panchami ko hua tha, jise har saal vivah panchami manaya jata hai halaki tetra yug ke anusaar stik barsh gyaat nahi hai par iss din ko shree ram ji ki vivah ki saalgrah manaya jata hai. aur iss din pooja karne se sukh samridhi aati hai aur vivah mein jo bhi badha ata hai wo door hota hai.
Naulakha Mandir kyun kaha jata hai
Is mandir ke nirman me us samay kul 9 lakh Nepali rupees ka kharcha aaya tha, jo us daur me ek bahut badi rakam mani jati thi. Isi wajah se Janaki Mandir ka naam “Naulakha Mandir” pad gaya.
Mandir ki Kala aur Banawat
Janaki Mandir ki kala aur architecture bahut hi aakarshak hai. Ye mandir safed rang ka hai aur isme Rajput style ki jhalak dekhne ko milti hai. Mandir ke andar Mata Sita aur Bhagwan Shri Ram se judi pavitra murtiyan aur chitron ko dekha ja sakta hai.
Dharmik aur Sanskritik Mahatva
Janaki Mandir sirf ek dharmik sthal hi nahi, balki ye Mithila sanskriti aur Janakpur ki pehchan bhi hai. Ye mandir Nepal aur Bharat ke beech dharmik aur sanskritik sambandhon ka pratik mana jata hai.
Nishkarsh
Janaki Mandir ya Naulakha Mandir bhakti, itihas aur kala ka ek adbhut sangam hai. Mata Sita ki janmabhoomi Janakpur me sthit ye mandir aaj bhi shraddha aur vishwas ka kendr bana hua hai.Itihas mein ek bahot bada dharmik sthal hai janakpurdham Nepal.
